teri marzi ke khad-o-khal mein dhalta hua main khak se aab na ho jaun pighalta hua main ai khizan main tujhe khush-rang bana sakta tha tujh se dekha na gaya phulta-phalta hua main mujh ko mangi hui izzat nahin puri aati tut jaun na ye poshak badalta hua main shobada-gar nahin mehman-e-saf-e-yaran hun zahr pita hua aur shahd ugalta hua main yam-ba-yam ruh machalti hui machhli ki tarah dam-ba-dam waqt ke hathon se phisalta hua main ab meri rakh uda ya mujhe aaankhon se laga tujh talak aa gaya hun aag pe chalta hua main kah rahi hain mujhe wo hausla-afzan aankhen ruh tak jaun khad-o-khal masalta hua main ho na ho ek hi taswir ke do pahlu hain raqs karta hua tu aag mein jalta hua main kar-e-darweshi jaza-yab hai lekin 'shahid' khush nahin khalwat-e-khali se bahalta hua main