sabab thi fitrat-e-insan KHarab mausam ka

sabab thi fitrat-e-insan kharab mausam ka
farishte jhel rahe hain azab mausam ka
wo tishna-lab bhi fareb-e-nazar mein aaega
use bhi dhund hi lega sarab mausam ka
darakht yun hi agar sabz sabz katte rahe
badal na jae zamin par nisab mausam ka
main jis mein rah na saka ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyab mausam ka
isi umid mein juhi se bhar gaya aangan
ki khilne wala hai ab ke gulab mausam ka
bahaar ho gai phir apne-ap sharminda
kiya tha dil ne bhi wo intikhab mausam ka
khulin jo nind se aanhken hamari yan 'azar'
guzar chuka tha zamana bhi khwab mausam ka
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close