sabaq umr ka ya zamane ka hai sab aamokhta bhul jaane ka hai ye gum hote chehre ye manzar ye gard saman raat din yan se jaane ka hai ruke hain ki tuk dekh len soch len tawaqquf takalluf bahane ka hai ye sadiyon ka mohkam munazzam sukut tilism ek chutki bajaane ka hai mahak sans sabza-e-qabr ki kinaya sa jaise bulane ka hai wazahat na qurbat ki kije talab ki ye silsila dur jaane ka hai qafas mein mere zehan ke muztarib ye tinka tere aashiyane ka hai alag ek kahani sa lagta idhar tasalsul udhar ke fasane ka hai gae din samajhne parakhne ke 'saz' ye mausam to bas man jaane ka hai