nafas nafas hai bhanwar chadhti shab ka manzar hai hisar-e-jism mein ek chikhta samundar hai hawa-e-taza ke manind mat lipat mujh se gai ruton ka bahut zahr mere andar hai nikal ke jaun gunah-gar-e-tirgi se kidhar har ek hath mein ab raushni ka patthar hai ek aag udti hui si wahi taaqub mein badan ki rakh abhi shayad badan ke andar hai tu kyun udhata hai mujh ko ye raushni ki rida mujhe khabar hai andhera mera muqaddar hai salib-e-shab se 'musawwir' sahar ke maqtal tak kahan milen ki har ek fasla barabar hai