sabhi ka dhup se bachne ko sar nahin hota har aadmi ke muqaddar mein ghar nahin hota kabhi lahu se bhi tarikh likhni padti hai har ek marka baaton se sar nahin hota main us ki aankh ka aansu na ban saka warna mujhe bhi khak mein milne ka dar nahin hota mujhe talash karoge to phir na paoge main ek sada hun sadaon ka ghar nahin hota hamari aankh ke aansu ki apni duniya hai kisi faqir ko shahon ka dar nahin hota main us makan mein rahta hun aur zinda hun 'wasim' jis mein hawa ka guzar nahin hota