sabhi ko dekh rahi hai nazar tumhaare siwa bujha bujha sa hai dil ka nagar tumhaare siwa ye sahilon ke kinare ye kashtiyan ye hawa faqat hai manzar-e-khamosh-tar tumhaare siwa nahin ho tum to koi manzar-e-bahaar nahin hazar gul hon moattar agar tumhaare siwa ye bastiyan badi gunjaan hain magar in mein kisi gali mein nahin koi ghar tumhaare siwa ye zindagi hai kathin rahguzar ki surat bahut azab hai ye sar-basar tumhaare siwa main rah-e-zist pe tanha hun jaise koi shajar nahin hai koi meri rahguzar tumhaare siwa