musafirat ke tahayyur se kat ke kab aae jo chauthi samt ko nikle palat ke kab aae ab apne aks ko pahchanna bhi mushkil hai hum apne aap mein hairat se hat ke kab aae ek intishaar tha ghar mein bhi ghar se bahar bhi sanwar ke nikle the kis din simat ke kab aae hum aise khalwatiyon se mukalme ko ye log jahan bhar ki sadaon se at ke kab aae ye guftugu to hai radd-e-amal teri chup ka jo kah rahe hain ye hum ghar se rat ke kab aae jab apne aap mein masruf ho gaya wo bahut hum us ki samt zamane se kat ke kab aae 'riyaz' dhyan ham-aghosh aaine se raha khayal us ke tasawwur se hat ke kab aae