sabhi kuchh khak mein tahlil hota ja raha hai chalo ye shahr bhi tabdil hota ja raha hai kisi ki guftugu mein ek wo mafhum hai jo haqaeq se alag tarsil hota ja raha hai main kaise tark kar dun ab ki ye kar-e-mohabbat kisi ke hukm ki tamil hota ja raha hai main kya tartib dena chahta hun aur mujh se ye kya hai jo yahan tashkil hota ja raha hai nahin khulta ye kaisa khauf hai jo lamha lamha sabhi ke khun mein tahlil hota ja raha hai