sabhi yahan hain darida-daman sabhi ka ab haal ek sa hai

sabhi yahan hain darida-daman sabhi ka ab haal ek sa hai
ab aisi surat mein kis se puchhen ye kya bana hai ye kya hua hai

kuchh is tarah se kabhi hua tha sukut dar-o-rasan ka aalam
na koi diwana sar-ba-kaf hai na koi wahshi data hua hai

ye kya maraz hai ki jis ke dar se tamam duniya laraz rahi hai
ye kya waba hai ki jis ke aage har ek ka sar jhuka hua hai

wo aasmanon pe jaane wale wo chand se mitti lane wale
na jaane ab wo kahan gae hain har ek ghar mein chhupa hua hai

wo sab missile ye sare atom bas ek corona ki mar nikle
ab aise aalam mein dekh len sab ki chin kaise data hua hai

ye waizon ke tamam khutbe hamari mushkil ka hal nahin hain
ab is ko khud hum hi hal karenge ye masala jo bana hua hai

na koi bhi hum pe pahra-zan hai ki hum kahin aaen aur na jaen
har ek insan apne ghar mein khud apna qaidi bana hua hai

koi bada ho ki ya ho chhota koi gada ho ki baadshah ho
is ibtila ka kamal ye hai ki sab ko yaksan kiya hua hai

siwae khamosh chand taron ke in khalaon mein kuchh nahin hai
ye zindagi ki hi raunaqen hain ki jin se mela saja hua hai

ye kya ghazab hai ki muddaton se khizan hi gulshan mein khema-zan hai
jo mausam-e-gul ka karwan tha wo karwan kyun ruka hua hai

hamara zauq-e-sukhan hai jari use kisi shai ka dar nahin hai
na husn hum se alag hua hai na ishq hum se juda hua hai

khuda to un se khafa hai 'aslam' jo us ke qanun todte hain
wagarna hum aise be-bason se khuda bhala kab khafa hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close