sabit raha falak mere nalon ke samne

sabit raha falak mere nalon ke samne
thahri sipar habab ke bhaalon ke samne

musa hain ghash mein gesuon walon ke samne
gul hai charagh-e-tur bhi kalon ke samne

phulon ka rang zard hai galon ke samne
sumbul mein bal nahin tere baalon ke samne

rakhwae jhad us ne nihaalon ke samne
qalamen lagin bilor ki dalon ke samne

jata hun jab khizan mein nihaalon ke samne
aankhon se nahren bahti hain thaalon ke samne

phule shafaq to zard ho galon ke samne
pani bhare ghata tere baalon ke samne

tare hue ghurub khat-o-khal dekh kar
goron ke panw uth gae galon ke samne

aankhon mein phirte hain nahin aate hain ru-ba-ru
parde pade hain dekhne walon ke samne

dekha hai aashiqon ne barahman ki aankh se
har but khuda hai chahne walon ke samne

chhut jaenge asir chhupa zulf-e-kham najam
katti hain bediyan tere baalon ke samne

betab dast-e-shauq hain joban ke ru-ba-ru
bose mein jaan ba-lab tere galon ke samne

ifraat-e-mai se mujh ko ye josh-e-surur hai
bajwaun jal-tarang mein pyalon ke samne

jild-e-badan hai takhta-e-mashq-e-sipah-e-gham
rahti hai ye kitab risalon ke samne

aankhen tumhaari dekh ke kuchh sujhta nahin
bhula hun chaukdi main ghazalon ke samne

darwazon par buton ke lagaya kiye alaw
holi jalai hum ne shiwalon ke samne

zulfon mein dekhta hun tera chehra-e-sabih
labrez jam-e-shir hai kalon ke samne

tere gada se band hai aalam ka natiqa
aate nahin jawab sawalon ke samne

khinche buton ne apni taraf zahidon ke dil
qibla-numa phire hain shiwalon ke samne

chori se bosa-e-kaf-e-pa len jo ai pari
hont apne chum lun tere galon ke samne

pahuncha falak ko faqr ka rutba huzur-e-aish
kambal chadhe hain charkh-e-do-shaalon ke samne

ahl-e-kitab hain saf-e-mizhgan ke ru-ba-ru
kaghaz ke daste aae risalon ke samne

faiyyaz sailon se nahin karte sar-kashi
shishon ke sar jhuke hain pyalon ke samne

dast-e-jafa uthaenge kya jism-e-zar par
kanta hon tegh-e-naz ke chhaalon ke samne

shishe ko husn-e-garm ne para bana diya
aaine ud gae tere galon ke samne

tegh-e-nigah ko motiyon ki dab chahiye
aaina rakh ke dekhiye chhaalon ke samne

jalte rahe buton ki huzuri mein shama-ru
pariyan sati hui hain shiwalon ke samne

ham-chashmon par lagai hain us but ne goliyan
tode hue hain sher ghazalon ke samne

jada bunat bana meri wahshat ke faiz se
gote ke go kohar hue chhaalon ke samne

mere hunar ka koi nahin qadr-dan 'munir'
sharminda hun main apne kamalon ke samne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close