nahin ab rok paegi fasil-e-shahr pani ko bahae ja rahi hai raushni ki lahr pani ko mujhe bhi surkh karti hai ye mashal meri aankhon ki ki jaise sabz karta hai ziya ka zahr pani ko kisi be-nam sayyare pe ab bhi abr chhaya hai tarasta hai kai din se agarche dahr pani ko bahut itra rahi hai mauj-e-sahra apne hone par rawan rakhti ho jaise aaj bhi ye nahr pani ko nikalna chahta hai qaid se jaise mashiyyat ki pasand aaya nahin hai aasmani qahr pani ko use wo rakh karne ke liye tayyar hai 'sajid' muqayyad hi na rakkhega faqat ye shahr pani ko