sabr khud ukta gaya achchha hua kuchh to bojh ehsas ka halka hua wo ghurur-e-hosh-mandi kya hua jo qadam padta hai wo bahka hua chhed baitha waqt apni ragni saz par jab aap ka qabza hua tak raha hai khud unhi ki anjuman fitna fitna un ka chaunkaya hua rup badla hai sahar ka raat ne dekhne walo tumhein dhoka hua kar rahe ho kis se tum zikr-e-chaman ghuncha ghuncha hai mera dekha hua aap kaj-rau hain ki sab kaj-fahm hain hal badi mushkil se ye uqda hua maslahat 'yaqub' kyun hai dam-ba-khud raaz kis ki bazm ka ifsha hua