sabr wade pe na tha kaam tamannai ka hashr hai wasl ka din ya meri ruswai ka hashr mein kya tujhe dekhenge azal ke bichhde husn wo aur zamana ye khud-arai ka abhi hairan abhi muztar abhi hushyar abhi mast haal dekha hi kare tere tamashai ka uf tera shauq mein badhna wo lipat jaane ko uf wo aaine mein aalam teri angdai ka meri aankhon se tapak padte hain aansu 'bekhud' nam leta hai agar koi shakebai ka