paband-e-hukm-e-girya-e-be-ikhtiyar hun main sail-e-abshaar hun abr-e-bahaar hun abr-e-bahaar hun na faza-e-bahaar hun main gard-e-daman-e-chaman-e-rozgar hun ai baghban-e-gulshan-e-hasti bata mujhe apni bahaar hun ki chaman ki bahaar hun hain yan ke zarre zarre mein be-tabiyan meri main jaan-e-be-qarar-o-dil-e-be-qarar hun kahta hai husn-e-yar se husn-e-nigah-e-misr chadhti bahaar tu main utarti bahaar hun ab main kahan zamin-o-faza-e-watan kahan 'bekhud' main aandhiyon ka udaya ghubar hun