sabz patton ko jo taraste hain un darakhton pe kash phal dekhun ai gham-e-dil agar ijazat ho do-ghadi ke liye sambhal dekhun main ki sae ko bhi tarasta hun khwab mein nit-naya mahal dekhun zulm ka zaiqa to ho malum kyun na ek phul ko masal dekhun shayad apna suragh mil jae dasht-e-tanhai se nikal dekhun phir sambhaale nahin sambhalta dil us ki jaanib jo ek pal dekhun