chehre se zindagi ki chamak khatm ho gai itna hanse ki sari lalak khatm ho gai har rasta kahin na kahin jata hai magar chalta gaya main aur sadak khatm ho gai mujh se chhuda ke hath bahut khush hai wo magar khush-rang chudiyon ki khanak khatm ho gai kis sang-dil khayal ne sahma ke rakh diya yak-lakht aaine ki chamak khatm ho gai phulon ki dilkashi mein izafa hua to hai lekin ye kya hua ki mahak khatm ho gai shakh-e-gulab lagti hai dali babul ki mausam ke sath sari lachak khatm ho gai aaj us ka main ne aakhiri khat bhi jala diya 'masum' umr bhar ki kasak khatm ho gai