sabz-ruton mein rang-e-khizani padhte hain har chehre par ek kahani padhte hain nam nahin hai koi bhi darwaze par takhti par bas ek nishani padhte hain tishna-lab lahron ne kya kya likh dala khushk ret par pani pani padhte hain naya sabaq to yaad nahin hota hum ko jab padhte hain baat purani padhte hain jab koi manus si khushbu aati hai lams mein us ke raat ki rani padhte hain fursat ke lamhon mein hum aksar ai 'rind' tahriren jaani pahchani padhte hain