sabza baala-e-zaqan dushman hai khalqullah ka rah-rawon ki maut hai khas-posh hona chah ka mil bithana hai falak manzur kis dil-khwah ka burj-e-mizan mein nahin be-wajh aana mah ka bas ki phirta hai khayal aankhon mein us dil-khwah ka rang-ru ke udne mein aalam hai gard-e-rah ka safha-e-dil se uthaun kis tarah naqsh-e-sanam mulk mein hota kisi ke ghar nahin allah ka kam-bizaat se khayal-e-kham hai kasrat ko faiz iktifa karta nahin lashkar ko pani chah ka rah-e-hasti mein hai rukhsar-e-sanam se zindagi taza-dam karta musafir ko hai takiya rah ka lash bhi galiyon mein khinchwa kar kiya hai qatl-e-yar tul hi dena maza hai qissa-e-kotah ka past fitrat se siwae ranj kuchh hasil nahin pa-ba-gil kashti ko kar deta hai pani thah ka chhod kar ishq-e-sanam zahid na ho maftun-e-hur kab yaqin lata hai dana dur ki afwah ka dil ko abru-e-sanam ka shefta karti hai aankh dars deta hai moallim pahle bismillah ka ai sanam banda-nawazi hai sifat allah ki haif hai khali phire sail teri dargah ka mail-e-mashuqa-e-khusraw na ho ai kohkan sher ke jhute ko khana kaam hai rubah ka josh ashk-e-atishin ka bais aah-e-sard hai garm karti hai hawa jade ki pani chah ka naza mein aaya na baalin par mere yar is liye aakhir-e-har-mah hai mamul chhupna mah ka hun wo abtar tifl jis ko jaan khona khel hai kunj-e-marqad hai gharaunda meri bazi-gah ka aasman ru-e-zamin hai yar mah-e-chaar-dah halqa-e-ahbab gird us ke hai haala mah ka wo dahan hai chashma-e-shirin tabassum mauj hai wo zaqan hai chah khal us mein tawa hai chah ka na-tawan meri tarah se hai jo ishq-e-husn se koh se bhaari taraazu mein ho palla kah ka sher kahta hun main ai 'atish' khuda ki hamd mein meri har ek bait par aalam hai baitullah ka