sabza tumhaare rukh ke liye tang ho gaya tuti ka aks aaine mein zang ho gaya past-o-buland dahr mein khata hun thokaren aisa samand-e-umr-e-rawan lang ho gaya bismil ko bhi tadapne ki milti nahin jagah kya arsa-e-hayat-e-jahan tang ho gaya ham-zad se bhi ye tan-e-laghar hua subuk tola to apne saye ka pasang ho gaya josh-e-junun ne jism ke purze uda diye rakht-e-barahnagi bhi mujhe tang ho gaya us but se jism-e-zar jo lipta shab-e-visal aalam ko ehtimal-e-rag-e-sang ho gaya mazmun-e-ah-e-garm ne jalwa dikha diya ud kar hawa mein nama mera chang ho gaya nale kiye tasawwur-e-gesu mein raat bhar dil ham-safir-e-murgh-e-shab-ahang ho gaya sar kat ke gir pada usi qatil ke panw par jallad se milap dam-e-jang ho gaya ud ud ke mere chehre par ai shokh rah gaya murgh-e-shikasta-baal mera rang ho gaya karta raha lughat ki tahqiq umr bhar aamal-nama nuskha-e-farhang ho gaya munh tak bhi zoaf se nahin aa sakti dil ki baat darwaza ghar se saikdon farsang ho gaya mahrum hun main khidmat-e-ustad se 'munir' kalkatta mujh ko gor se bhi tang ho gaya