sach batana ki mere bin jaanan kaise katte hain tere din jaanan kis ke bazu pe ab chubhaogi apne scarf ka wo pin jaanan ishq ke imtihan se guzrunga parche hon jis qadar kathin jaanan hukm par hukm na-munasib hai tera aashiq nahin hai jin jaanan til ki tadad jaanni hai tujhe mund le aankh bose gin jaanan hath jab tham hi liye us ke phir ye bistar pe kaisa ghin jaanan