sach hai jab bhi koi harf us ki zaban se nikla zahr mein duba hua tir kaman se nikla dur tak phail gaya husn-e-maani ka tilism khub mafhum mere lafz-o-bayan se nikla main tere tark-e-talluq se bas itna samjha ek patthar tha jo shishe ke makan se nikla ek haqiqat pas-e-afsana thi raushan raushan wo jo kabe ko gaya shahr-e-butan se nikla us taraf dar ki manzil thi idhar kucha-e-yar mujh ko jaana tha kahan aur kahan se nikla manzil-e-zat mili ruh hui aasuda silsila tar-e-nafas ka rag-e-jaan se nikla bas ki tha pesh-e-nazar husn-e-azal ka jalwa 'naz' har kashmakash-e-sud-o-ziyan se nikla