koi bhi nahin shahr mein jab zat ke bahar kyun bhid ye rahti hai makanat ke bahar hairani-o-madhoshi-o-taskin-o-musarrat kuchh bhi to nahin qasr-e-tilismat ke bahar har-waqt ki ye khwab ki aadat nahin achchhi didar ko ranai de zulmat ke bahar aazad hai wo nafs ki tahwil mein 'rahat' aur hum hain giraftar hawalat ke bahar