sach hai kisi ki shan ye ai naznin nahin tu har jagah hai jalwa-gar aur phir kahin nahin main ne wufur-e-shauq mein shayad suna na ho ya shayad aap hi ne na ki ho nahin nahin dast-e-junun se qata hua pairahan mera daman nahin hai jeb nahin aastin nahin main tum se kya bataun ki is waqt hun kahan jab tum ho pesh-e-chashm to phir main kahin nahin jab se gunah chhod diye sab khisak gae ab koi mera dost nahin ham-nashin nahin 'akbar' hamare 'ahd ka allah re inqilab goya wo aasman nahin wo zamin nahin