shikwa-e-bedad se mujh ko to darna chahiye dil mein lekin aap ko insaf karna chahiye ho nahin sakta kabhi hamwar duniya ka nasheb is gadhe ko apni hi mitti se bharna chahiye jam' saman-e-khud-arai hai lekin ai 'aziz jis ki surat khub ho us ko sanwarna chahiye 'ashiqi mein khanda-rui salikon ko hai muhaal hai yahi manzil ki chehre ko utarna chahiye har 'amal tera hai 'akbar' tabe’-e-‘azm-e-harif jab ye mauqa' ho to bhai kuchh na karna chahiye