sach ke izhaar ka sheron ko bahana jaana bach rahe yun ki zamane ne fasana jaana sakht matub rahe aur khata itni thi jo khuda na tha use hum ne khuda na jaana is qadar bhi na jari the ki ulajhte sab se shor-e-shab-khun ko magar bang-e-dara na jaana ab ke ilzam laga hum pe khuli aankhon ka jo nazar aaya use us se siwa na jaana kam hi milte ho magar ye hai yaqin ka aalam hum ne pal-bhar ko tumhein khud se juda na jaana main wo na-shukr ki har bar mulaqat ke baad main ne har lamha-e-furqat ko zamana jaana rahm khate hain hain mere haal pe ahl-e-duniya main ne iman ko duniya mein khazana jaana