tera be-muddaa mange dua kya maraz hai tandurusti mein dawa kya kahen kya kya kiya hai hum ne kya kya tujhe ai bewafa qadr-e-wafa kya tabassum ho jawab-e-muddaa kya kaha kya aap ne main ne suna kya kaho aakhir zara main bhi to sun lun meri nisbat suna hai tum ne kya kya tumhaari mehrbani hai to sab hai mera arman mera muddaa kya na dekhen wo to apna girya be-sud na puchhen wo to apna muddaa kya chala tu bhi jo ai dil lene wale hamare pas phir baqi raha kya adaen tum ko bakhshin hum ko aankhen karega aur bandon se khuda kya jo mujh ko aap hi dar se utha den koi rakkhe kisi ka aasra kya samajhte ho jo apne-ap ko tum use samjhega koi dusra kya khilate ho qasam zabt-e-fughan par zara socho maraz kya hai dawa kya mere ghar ko tum apna ghar na samjho to aisi mehmani ka maza kya safi' khud bini thahre jin ka shewa nazar aaega un ko dusra kya