sach to ye hai ki dida-war ho tum be-khabar hum hain ba-khabar ho tum waqif-e-raaz-e-khair-o-shar ho tum khush-khayal aur khush-nazar ho tum aashna-e-rumuz-e-kun-fa-yakun raaz-e-hasti se ba-khabar ho tum jis se raushan hai matla-e-ummid sham-e-ghurbat mein wo sahar ho tum kaun hai ye harif-e-shoala-e-tur ai main qurban jalwa-gar ho tum dasht-e-ghurbat mein rah-e-hasti mein main samajhta hun ham-safar ho tum ek nisbat hai nisbat-e-mauhum be-nawa main hun tajwar ho tum 'raaz' do aib hain yahi tum mein saf-go aur haq-nigar ho tum