sachchaiyon se usko bhi inkar ho gaya

sachchaiyon se us ko bhi inkar ho gaya
ek shakhs aaj aur gunahgar ho gaya

wo chaara-saz jis pe zamane ko naz tha
mujh ko udas dekh ke bimar ho gaya

qatil ne ek shakhs ko yun qatl kar diya
pahchanna bhi lash ko dushwar ho gaya

jaanen fasad mein to bahut si gain magar
kyon ek nam surkhi-e-akhbar ho gaya

patthar samajh rahe the asar jis ko log wo
tarsha gaya to raunaq-e-bazar ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close