numaishon ka guzar kab rah-e-najat mein hai ibaadaton ka maza to andheri raat mein hai badhe jo tirgi-e-shab to aur main chamkun chamak sitaron ke jaisi hi meri zat mein hai bichhadne wale ko main is liye nahin bhula wo aa bhi sakta hai ye bhi tawaqquat mein hai hai e'tiraf ki tarif kar rahe ho tum hasad ka pahlu bhi lekin tumhaari baat mein hai duboega hamein sail-e-sitam 'asar' kaise zamane bhar ki dua to hamare sath mein hai