sachche dil se wada kiya ho aisa bhi to ho sakta hai us ka kya hai bhul gaya ho aisa bhi to ho sakta hai fitna-gar ka rup naya ho aisa bhi to ho sakta hai mujh se mil kar us se mila ho aisa bhi to ho sakta hai ishq mohabbat lag lagawat shayad is mein kuchh bhi na ho sirf tumhein mahsus hua ho aisa bhi to ho sakta hai aap mere qatil kyun-kar hon jhut kisi ne udaya hoga aap ka chehra us jaisa ho aisa bhi to ho sakta hai ahl-e-basirat dhoka kha kar ghair ki baaton mein aae hon ghar ka bhedi koi raha ho aisa bhi to ho sakta hai pahle bhi abna-e-watan ne becha hai namus-e-watan ko waqt ne khud ko dohraya ho aisa bhi to ho sakta hai zoam-e-hukumat ne thukraya rahbar-e-din ki dawat-e-haq ko us ka ye anjam hua ho aisa bhi to ho sakta hai dil to aakhir dil hai yaran kab tak un ke roke rukta pakka phoda phut baha ho aisa bhi to ho sakta hai khatm-e-safar par ahl-e-masafat itne kyun mayus hue ho is manzil se safar naya ho aisa bhi to ho sakta hai