siyasi ped hain barson se phal nahin aae idhar to masale aae hain hal nahin aae use bhi shauq musalsal fareb dene ka kabhi jabin pe apni bhi shal nahin aae use ye dar ki jise inqalab kahte hain wo rasta mere ghar se nikal nahin aae yahan to tark-e-wafa ka riwaj aam hua hamin ko faisle karna atal nahin aae khule hue hain yahan mujrimon ke chehre kyon bayan log to apne badal nahin aae koi bhi kholne wala nahin hai darwaza ki jab talak yahan suraj nikal nahin aae sahal nahin hai 'asar' ghar talak pahunchna bhi agar shumar mein raston ke bal nahin aae