sada-e-dil na kahin dhadkanon mein gum ho jae ye qafila na kahin raston mein gum ho jae ye dil ka dard jo aankhon mein aa gaya hai meri main chahta tha mere qahqahon mein gum ho jae tujhe khabar bhi hai ye be-hison ki basti hai teri sada na kahin pattharon mein gum ho jae main khud ko dhundhne nikla to kho gaya jaise nikal ke ghar se koi raston mein gum ho jae na jaane aaj hai taron ko kyun ye andesha ye raat bhi na kahin jugnuon mein gum ho jae main bar-ha teri yaadon mein is tarah khoya ki jaise koi nadi jangalon mein gum ho jae chaman se kyun na shikayat ho 'shad' rangon ko har ek phul agar khushbuon mein gum ho jae