roz dil mein hasraton ko jalta bujhta dekh kar thak chuka hun zindagi ka ye rawayya dekh kar reza reza kar diya jis ne mere ehsas ko kis qadar hairan hai wo mujh ko yakja dekh kar kya yahi mahdud paikar hi haqiqat hai meri sochta hun din dhale ab apna saya dekh kar kuchh talab mein bhi izafa karti hain mahrumiyan pyas ka ehsas badh jata hai sahra dekh kar mere khwabon par bhi us ne nam apna likh liya ab bhi kyun khamosh hun main ye tamasha dekh kar sach to ye hai sab ko apni jaan pyari hai yahan ud gae sare parinde ped katta dekh kar 'shad' jaane ji rahe ho kaun si duniya mein tum duniya duniya kar rahe ho ab bhi duniya dekh kar