sada kaghaz pe koi nam kabhi likh lena!

sada kaghaz pe koi nam kabhi likh lena!
ho sake milne ki ek sham kabhi likh lena!

yun to hum ahl-e-junun kuchh bhi nahin karte hain
gumrahi ka hi sahi kaam kabhi likh lena!

mai-gusaron pe tadapne ki bhi pabandi hai
tishna-kaamon ke liye jam kabhi likh lena!

kitni raushan hain samundar ki chamakti raaten
dubti lahron ka anjam kabhi likh lena!

bhut khwabon mein farishte se nazar aate hain
zehn mein apne ye auham kabhi likh lena!

tod ke kitni chatanon ko nikal aae hain
sare jazbe hain magar kham kabhi likh lena!

bik raha hai sar-e-bazar har ek danish-war
hum se aawara ke kuchh dam kabhi likh lena!

jurm koi nahin 'baqar' ko riha mat karna
kuchh na kuchh dhund ke ilzam kabhi likh lena!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close