ta-der hum ba-dida-e-tar dekhte rahe yaaden thin jis mein dafn wo ghar dekhte rahe kya kya na e'tibar diya ek sarab ne har-chand tishna-lab the magar dekhte rahe suraj chadha to phir bhi wahi log zad mein the shab bhar jo intizar-e-sahar dekhte rahe sehn-e-chaman ko apne lahu se sanwar kar dast-e-hawas mein hum gul-e-tar dekhte rahe ye dil hi jaanta hai ki kis hausle ke sath naqadri-e-mata-e-hunar dekhte rahe 'mohsin' uruj-e-kam-nazaran saneha nahin ye saneha hai ahl-e-nazar dekhte rahe