sada panw mein bedi hathon mein zanjir dekhi hai wafadaran-e-ulfat ki yahi taqdir dekhi hai karen nauha padhen kyon marsiya aah-o-buka kyon ho wo zinda hain unhin ki dahr mein tanwir dekhi hai mahal mismar ho kar bhi saqafat zinda rakhte hain jabin-e-sang par hum ne yahi tahrir dekhi hai sabhi ko zindagi pyari hai lekin is tarah jina niwalon ke liye aksar ghalat tadbir dekhi hai duaen wasl ki mangi wo aae hain dam-e-naza ajab taqdir dekhi hai ajab tasir dekhi hai khuli aankhon se hum ne bhi khushi ke khwab dekhe the magar 'monis' bigadti barha tabir dekhi hai