mili nigahen utha talatum ajib dil par asar hua hai jo haal mera idhar hua hai wo haal un ka udhar hua hai meri alalat pe daude aae mili nigahen to jal ke bole dara diya tha qasam khuda ki suna tha dard-e-jigar hua hai chaman mein barpa hai shor-e-matam gulon ke chehre utar gae hain ye baghbanon ke hi karam se nizam zer-o-zabar hua hai hasad ki aatish bhadak rahi hai hua hai bhai ka bhai dushman makanon se uth rahe hain shoale ki nazr-e-atish nagar hua hai jo mujh se nafrat hai un ko itni utha len khanjar na uf karunga unhon ne hi dil kiya hai ghayal unhin se zakhmi jigar hua hai main tishnagi ka karun jo shikwa tarash meri zaban saqi magar bata de khata hai kis ki jo mai-kada muntashar hua hai chalo musammam ye ahd kar len mita den hum dushmani jahan se sikhaen baatil ko hum saadat jo haq se bhi be-khabar hua hai yahi to mearaj-e-ashiqi hai yahi to wajh-e-sukun hoga bas ek dafa wo kah de 'monis' teri wafa ka asar hua hai