sada ye kis ki hai jo dur se bulae mujhe qarib jaun to kuchh bhi nazar na aae mujhe main bujhte bujhte dhuen ki lakir chhodunga ye baad-e-tund zara soch kar bujhae mujhe ghurub ke nahin aasar ye to phir kya hain ki jism se bade lagte hain ab to sae mujhe jala ho dhup mein aur khal-o-khad na bigde hon bhare jahan mein wo ek shakhs to dikhae mujhe kisi ke lams se kundan main ho to sakta hun magar ye shart koi hath to lagae mujhe