sada za-faiz-e-asar khamushi na ban jae jo baat kah na sakun aap hi na ban jae kis intizar mein hai ghar ka band darwaza hawa bhi saya-e-zanjir hi na ban jae wo ghut ke mar hi na jae jo mere andar hai mera wajud hi meri nafi na ban jae teri wafa meri nas nas mein zahr bhar degi ye dosti bhi teri dushmani na ban jae tumhaare mathe pe ubhri hai jo shikan ki tarah yahi lakir bhatak kar hansi na ban jae uthaun nazm ka ghunghat to samne tum ho ghazal kahun to tumhaari chhabi na ban jae