sadaqaton ke dahakte shoalon pe muddaton tak chala kiye hum zamir ko thapthapa ke aakhir sula diya aur khush rahe hum rida-e-giriya pe ta-qayamat nisar hote rahenge dariya sabil-e-khun-e-jigar se nadar sahilon ko bhigo chale hum safar tha jab raushni ki jaanib to phir maal-e-safar ka kya gham charagh ki tarah sari shab shan se jale subh bujh gae hum 'fuzail' shaer mudir naqqad sab ba-zahir the hum hi lekin hamare andar tha aur ek shakhs jis se paiham lada kiye hum