khud se na-khush ghair se bezar hona tha hue hum ko gard-e-kucha-o-bazar hona tha hue jin ki sari zindagi darbar-dari mein kati un ko ruswa bar-sar-e-darbar hona tha hue hum mein kuchh rindan-e-khush-auqat aise the jinhen jaanashin-e-jubba-o-dastar hona tha hue hum kabhi shamshir-e-jauhar-dar the lekin hamein dast-e-nahanjar mein talwar hona tha hue apna ghar ji khol kar taraj karna tha kiya apne hathon khud hamein mismar hona tha hue jin ko sari zindagi zom-e-masihai raha un ko aakhir ek din bimar hona tha hue tum sar-e-sahil dubo baithe ho 'mohsin' kashtiyan jin safinon ko samundar par hona tha hue