sadaqaton ke payambar gae rasul gae khudi ki hurmat-e-afzal gai usul gae jo bul-hawas the sar-e-am dandanate rahe jo haq-parast the sab phansiyon pe jhul gae gila faqat hai ye zahid ki parsai se zara sa waqt pada un ke sab usul gae khizar se hum bhi mila kar qadam chale the magar masafaton ki tawalat se sans phul gae tumhaare jaane se har ek kali ka rang uda chaman se fasl-e-bahaaran gai to phul gae rah-e-hayat mein lakhon the ham-safar 'ejaz' kisi ko yaad rakha aur kisi ko bhul gae