sham-e-alam se pahle bhi subh-e-tarab ke baad bhi shauq-e-talab na mit saka tark-e-talab ke baad bhi phir ye wahi gham-e-firaq phir hai wahi kisi ki yaad uf ye siyah-bakhton rukhsat-e-shab ke baad bhi farz tha ehtiram-e-dost tak magar na ruk sake baat labon tak aa gai pas-e-adab ke baad bhi sara ghurur-e-ashiqi khak mein mil ke rah gaya ho gaya un ka samna tark-e-talab ke baad bhi raunaq-e-zist ho gai waqt ki talkhiyon mein gum lab pe hansi na aa saki izn-e-tarab ke baad bhi jo bhi ho ab maal-e-gham jo bhi ho ab nasib-e-ishq main ne diye saba diye aalam-e-shab ke baad bhi chaliye meri khata sahi apna karam bhi dekhiye jam na mil saka mujhe daur mein sab ke baad bhi