sadgi to hamari zara dekhiye eatibar aap ke wade par kar liya

sadgi to hamari zara dekhiye eatibar aap ke wade par kar liya
baat to sirf ek raat ki thi magar intizar aap ka umr-bhar kar liya

ishq mein uljhanen pahle hi kam na thin aur paida naya dard-e-sar kar liya
log darte hain qatil ki parchhain se hum ne qatil ke dil mein bhi ghar kar liya

zikr ek bewafa aur sitamgar ka tha aap ka aisi baaton se kya wasta
aap to bewafa aur sitamgar nahin aap ne kis liye munh udhar kar liya

zindagi-bhar ke shikwe gile the bahut waqt itna kahan tha ki dohraate hum
ek hichki mein kah dali sab dastan hum ne qisse ko yun mukhtasar kar liya

be-qarari milegi mujhe na sukun chain chhin jaega nind ud jaegi
apna anjam sab hum ko malum tha aap ne dil ka sauda magar kar liya

zindagi ke safar mein bahut dur tak jab koi dost aaya na hum ko nazar
hum ne ghabra ke tanhaiyon se 'saba' ek dushman ko khud ham-safar kar liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close