na ho eajaz kyon husn-e-bayan mein

na ho eajaz kyon husn-e-bayan mein
tumhin tum ho hamari dastan mein

chaman mein dasht mein ku-e-butan mein
meri wahshat hui ruswa jahan mein

sabab meri tadap ka kuchh na puchho
ki ek nashtar hai yaad-e-raftagan mein

ye jina bhi koi jina hai apna
qafas mein hum hain dil hai aashiyan mein

kahin bijli kahin hai aatish-e-gul
charaghan ka saman hai gulsitan mein

jo tum chaho tabassum se badal do
abhi hai itni gunjaish fughan mein

hayat-e-ishq ka hasil hai goya
jo harf-e-gham hai meri dastan mein

tere naghmon ka jadu allah allah
ki gul khilne lage fasl-e-khizan mein

sukun un ka hai mere zabt-e-gham se
badi tasir hai warna fughan mein

tajjub hai ki ek do rahnuma bhi
nahin is karwan dar karwan mein

zamin ke ho gae paiwand lakhon
hawa-e-mawra-e-asman mein

ajiran ho gai umr-e-do-roza
tamanna-e-hayat-e-jawedan mein

sunao aap-biti ai 'saadat'
dhara kya hai hadis-e-digaran mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close