sadiyon se tha jo darpae-azar gir gaya apna adu wo ghazi-e-guftar gir gaya kapdon ki qaid se hua aazad us ka jism wo shakhs jis ghadi sar-e-bazar gir gaya jab surkhiyon pe apni nigahen thahar gain hathon se apne aaj ka akhbar gir gaya be-khwab rah ke sab ko wo karta tha faizyab jab so gaya to saya-e-diwar gir gaya wo zalzala tha ya ki qayamat ka silsila sanson ke sabz-shahr ka minar gir gaya mayusiyon ki fauj ne hamle kiye bahut lamhon ke ran mein rahbar-e-kirdar gir gaya