naghmon ke qafile ka main tanha naqib tha ya shakh-e-kaenat pe ek andalib tha apna koi rafiq na koi raqib tha main khwahishon ki bazm mein sab ke qarib tha zine pe qasr-e-waqt ke chadhta chala gaya mera shikasta hausla jo khush-nasib tha us ke badan se lipti hui thi lahu ki shakh wo shakhs jo ki shahr-e-ana ka khatib tha thin aasman ki wusaten apni nigah mein lamhat-e-gum-shuda ka tasawwur ajib tha girdab-e-hadsat mein hum phans ke rah gae jab sahil-e-murad bahut hi qarib tha logon se mil rahi thi use raushni ki bhik dil ke hasin dayar mein 'jami' gharib tha