sadiyon tawil raat ke zanu se sar utha suraj ufuq se jhank raha hai nazar utha itni buri nahin hai khandar ki zamin bhi is dher ko samet nae baam-o-dar utha mumkin hai koi hath samundar lapet de kashti mein sau shigaf hon langar magar utha shakh-e-chaman mein aag laga kar gaya tha kyun ab ye azab-e-dar-badri umr bhar utha manzil pe aa ke dekh raha hun main aaina kitna ghubar tha jo sar-e-rahguzar utha sahra mein thodi der thaharna ghalat na tha le gard-baad baith gaya ab to sar utha dastak mein koi dard ki khushbu zarur thi darwaza kholne ke liye ghar ka ghar utha 'qaisar' mata-e-dil ka kharidar kaun hai bazar ujad gaya hai dukan-e-hunar utha