kitni riton mein dil uljha rah gaya badh gae hum aur zamana rah gaya khatm kitna kar-e-duniya kar chale aur kitna kar-e-duniya rah gaya jal bujhe ghar aur fasil-e-shahr par raushni ka shahr likkha rah gaya main akela tha sada sun kar tum aae dosto main phir akela rah gaya chehra-posh ojhal hue bhadka ke aag aane wala ghar ko aata rah gaya hausla rakkho safar ka ham-raho mat ye socho kya luta kya rah gaya mil gae arman mitti mein tamam kuza-gar kuze banata rah gaya