sadiyon tumhaari yaad mein shamen jalaenge pal bhar ke baad phir bhi tumhein bhul jaenge tamir muddaa talab-e-zauq ho gai buniyaad-e-dard hogi to diwar uthaenge ab kahish-e-junun ka koi silsila nahin han be-dili se dast-e-dua bhi uthaenge ai karwan-e-tez-qadam mandgan ko dekh aankhon mein kya ghubar-e-sar-e-rah sajaenge likkhenge qahqahon se bas ek dastan-e-dil us par hadis-e-dard ka unwan jamaenge yunhi sahi jo garmi-e-bazar hum se hai hum bech kar zamir-e-nazar muskuraenge ya chaak-e-dil ko chaak-e-gareban bana saken ya dukhtaran-misr se daman bachaenge kya rakhsh-e-umr hila-e-marg-ashna nahin utthegi mauj-e-reg-e-rawan dub jaenge harf-ashna na hogi koi mauj-e-dard-e-dil sine pe rakh ke hath magar baith jaenge